Ayat-e-Sakina: Roohani Sukoon aur Barkat Ki Ayat

ayat e sakina

Table of Contents

Overview

Assalau Alaikum Nazreen ! To aaj hum aapko batane wale hai ayat e sakina kya hai, iss ayat ko kaise padhe, iss ayat ko padhne se kya hota hai aur iske bahoot sare fayde kya hai in saari cheezo par aaj hum baat karenge.

“Ayat-e-Sakina” ek Quranic ayat or dua hai, jise rohani sukoon aur barkat ke liye istemal kiya jata hai. Is ayat me Allah Ta’ala apne bandon ko rohani  sukoon ata karta hai.

“Ayat-e-Sakina” ka istemal qalb aur zehan ki bechaini ko door karne, roohani taraqqi aur barkat ki talab me kiya jata hai.

“Ayat-e-Sakina” ka padhna aur iski tilawat karne se dil ko sakoon milti hai. Is ayat ki tilawat Allah ki raza aur hifazat ki talab me dil ko taqwiyat deti hai. “Ayat-e-Sakina” ke zariye insan apni zindagi mein rohaniyat aur barakat ko pa sakta hai.

Is ayat ka maqsad Allah ki ibadat aur taqwa ki talab mein dil ko pur sukoon banana hai.”Meaning of Sakina” ka matlab Peace” aur sukoon” hota hai.

Ayat e sakina kya hoti hai

Ayat e sakina quran ke 6 ayaat hai jo niche di gayi hai. 

Ayat No.1 Surah Baqarah Ayat No. 248

In Arabic :-

وَقَالَ لَهُمْ نَبِيُّهُمْ اِنَّ اٰيَةَ مُلْكِهٖٓ اَنْ يَّاْتِيَكُمُ التَّابُوْتُ فِيْهِ سَكِيْنَةٌ مِّنْ رَّبِّكُمْ
وَبَقِيَّةٌ مِّمَّا تَرَكَ اٰلُ مُوْسٰى وَاٰلُ هٰرُوْنَ تَحْمِلُهُ الْمَلٰٓئِكَةُ اِنَّ فِيْ ذٰلِكَ لَاٰيَةً لَّكُمْ اِنْ كُنْتُمْ مُّؤْمِنِيْنَ

 In Roman English

“Wa qaala lahum Nabiyyuhum inna Aayata mulkiheee ai yaatiyakumut Taabootu feehi sakeenatummir Rabbikum wa baqiyyatummimmaa taraka Aalu Moosa wa Aalu Haaroona tahmiluhul malaaa’ikah; inna fee zaalika la Aayatal lakum in kuntum mu’mineen”

Tarjuma :- “Unke Nabi ne unhein phir kaha ke is ki badshahat ki zaahiri nishani yeh hai ke tumhare paas woh sandooq aa jayegi jis mein tumhare Rab ki taraf se diljama’i hai aur Aal-e-Musa aur Aal-e-Haroon ka baqiya tarka hai, farishte ise utha kar laayenge. Yaqeenan yeh to tumhare liye khuli daleel hai agar tum imaan wale ho.” 

Source :- Surah Baqarah 248

ayat e sakin, surah baqrah Ayat No. 248

Ayat No.2  Surah Toba- Ayat No. 26

 In Arabic

ثُمَّ اَنْزَلَ اللّٰهُ سَكِيْنَتَهُ عَلٰى رَسُوْلِهٖ وَعَلَى الْمُؤْمِنِيْنَ
وَاَنْزَلَ جُنُوْدً لَّمْ تَرَوْهَا وَعَذَّبَ الَّذِيْنَ كَفَرُوْا وَذٰلِكَ جَزَآءُ الْكٰفِرِيْنَ

 In Roman English

“Summa anzalal laahu sakeenatahoo ‘alaa Rasoolihee wa’alal mu’mineena wa anzala junoodal lam tarawhaa wa azzabal lazeena kafaroo; wa zaalika jazaaa’ul kaafireen”

Tarjuma :- “Phir Allah ne apni taraf ki taskin apne Nabi par aur momino par utari, aur apne wo lashkar bheje jinhein tum dekh nahin rahe the, aur kafiro ko poori saza di. In kafiro ka yahi badla tha.” 

Source :-  Surah Toba, Ayat No.26

Ayat e sakina Surah Toba Ayat No. 26

Ayat No.3  Surah Toba- Ayat No. 40

 In Arabic

فَاَنْزَلَ اللّٰهُ سَكِيْنَتَهُ عَلَيْهِ وَاَيَّدَهُ بِجُنُوْدٍ لَّمْ تَرَوْهَا وَجَعَلَ كَلِمَةَ الَّذِيْنَ
كَفَرُوْا السُّفْلٰى وَكَلِمَةُ اللّٰهِ هِىَ الْعُلْيَا وَاللّٰهُ عَزِيْزٌ حَكِيْمٌ

 In Roman English

“fa anzalallaahu sakeenatahoo ‘alaihi wa aiyadahoo bijunoodil lam tarawhaa wa ja’ala kalimatal lazeena kafarus suflaa; wa Kalimatul laahi hiyal ‘ulyaa; wallaahu ‘Azeezun Hakeem”

Tarjuma :- “Phir Janab Bari ne apni taraf se taskin is par nazil farmakar un lashkaron se us ki madad ki jinhen tum ne dekha hi nahin, usne kafiron ki baat past kar di aur buland-o-aziz to Allah ka kalma hi hai, Allah ghalib hai hikmat wala hai.”

Source :- SURAH AT-TAUBAH AYAT 40

Ayat e sakina, Surah Toba- Ayat No. 40

Ayat No.4  Surah Fatah – Ayat No.4

 In Arabic

هُوَ الَّذِىْٓ اَنَْزلَ السَّكِيْنَةَ فِىْ قُلُوْبِ الْمُؤْمِنِيْنَ لِيَزْدَادُوْٓا اِيْمَانًا
مَّعَ اِيْمَانِهِمْ وَلِلّٰهِ جُنُوْدُ السَّمٰوٰتِ وَالْاَرْضِ وَكَانَ اللّٰهُ عَلِيْمًا حَكِيْمًا

In Roman English

“Huwal lazeee anzalas sakeenata fee quloobil mu’mineena liyazdaadooo eemaanamma’a eemaanihim; wa lillaahi junoodus samawaati wal ard; wa kaanal laahu ‘Aleeman Hakeemaa”

Tarjuma :- “Wohi hai jisne musalmanon ke dilon mein sukoon (aur itminan) daal diya takay apne imaan ke sath hi sath aur bhi imaan mein barh jayen, aur aasmanon aur zameen ke (kul) lashkar Allah hi ke hain. Aur Allah Ta’ala dana ba-hikmat hai.”

Source :- SURAH AL-FATH AYAT 4

Ayat e sakina Surah Fatah Ayat No.4

Ayat No.5  Surah Fata- Ayat No.18

 In Arabic

لَقَدْ رَضِىَ اللّٰهُ عَنِ الْمُؤْمِنِيْنَ اِذْ يُبَايِعُوْنَكَ تَحْتَ الشَّجَرَةِ
فَعَلِمَ مَافِىْ قُلُوْبِهِمْ فَاَنْزَلَ السَّكِيْنَةَ عَلَيْهِمْ وَاَثَابَهُمْ فَتْحًا قَرِيْبًا

In Roman English

“Laqad radiyal laahu ‘anil mu’mineena iz yubaayi ‘oonaka tahtash shajarati fa’alima maa fee quloobihim fa anzalas sakeenata ‘alaihim wa asaa bahum fat han qareebaa”

Tarjuma :- “Yaqeenan Allah Ta’ala momino se khush hogaya, jabkeh woh darakht tale tujh se bay’at kar rahe the. Unke dilon mein jo tha usse usne maloom kar liya aur unpar itminan nazil farmaya aur unhein qareeb ki fatah anayat farmayi.”

Source :- SURAH AL-FATH AYAT 18

Ayat e sakina, Surah Fata - Ayat No.18

Ayat No.6  Surah Fata- Ayat No.26

 In Arabic

إِذۡ جَعَلَ ٱلَّذِينَ كَفَرُواْ فِي قُلُوبِهِمُ ٱلۡحَمِيَّةَ حَمِيَّةَ ٱلۡجَٰهِلِيَّةِ فَأَنزَلَ ٱللَّهُ سَكِينَتَهُۥ عَلَىٰ رَسُولِهِۦ وَعَلَى ٱلۡمُؤۡمِنِينَ وَأَلۡزَمَهُمۡ كَلِمَةَ ٱلتَّقۡوَىٰ وَكَانُوٓاْ أَحَقَّ بِهَا وَأَهۡلَهَاۚ وَكَانَ ٱللَّهُ بِكُلِّ شَيۡءٍ عَلِيمٗا
 

In Roman English :- Iz ja’alal lazeena kafaroo fee quloobihimul hamiyyata hamiyyatal jaahiliyyati fa anzalal laahu sakeenatahoo ‘alaa Rasoolihee wa ‘alal mu mineena wa alzamahum kalimatat taqwaa wa kaanooo ahaqqa bihaa wa ahlahaa; wa kaanal laahu bikulli shai’in Aleema “

Tarjuma :- “Jab ke in kafiro ne apne dilon mein himmat ko jagah di aur himmat bhi jahiliyat ki, so Allah Ta’ala ne apne Rasool par aur momino par apni taraf se taskin nazil farmayi, aur Allah Ta’ala ne musalmanon ko taqwa ki baat par jama’at rakha, aur woh uske ahl aur zyada mustahiq the, aur Allah Ta’ala har cheez ko khoob janta hai.”

Source :- SURAH AL-FATH AYAT 26 

Ayat e sakina, Surah Fata - Ayat No.26

Ayat e sakina padhne ka tarika

“Ayat e Sakina” padhna mushkil nahi hai. Aap din ke kisi bhi waqt iss dua ko padh sakte hai. Namaz ke baad ya raat mei ek martaba ye dua padhe aur apne poore badan par dum karein.

Uske baad, Allah se madad ke liye dua karein aur Insha’Allah, aapke masle hal ho jayenge.”

  • Agar aap bhi Ayat-e-Sakina parhna chahte hain toh yahan par sahi tariqa bataya gaya hai
  • Aik sukoon wala aur saaf jagah dhondh le
  • Wudu ya gosul kar lain.
  • Qiblah ki taraf munh kar ke aur aaram se baithe ya khare ho.
  • Surah Al-Fatiha (Quran ka pehla surah) padhe.
  •  Ayat-e-Sakina ko parhen
  • Jitni dafa chahen ayat ko parhte rahen aur is ki tafseel par zyada dhiyan den.
  • Parhne ke baad dua ya maafi ki talab karen.

Aap Ayat-e-Sakina ko namaz (salah) ke doran, sone se pehle ya jab aap pareshan ya tention mahsoos karte hai tap padh sakte hai.

Benefits of Ayat e sakina/ Ayat e sakina ki Fazilat

“Ayat e Sakina” ek taqatwar dua hai jiski kai fawaid hain. Ayat e Sakina padhne ke kuch fayde niche explain ki gae hai.

  • Sukoon aur sukun
  • Buri nazar se Hifazat
  • Masle ka Hal
  • Iman aur taqwa me ezafa
  • Gunahon ke liye mafi maangna
  • Barkat aur sawab

Ayat e Sakina padhna Jism, Zehan aur Iman ke liye kai fayde ho sakta hai. Iss fayde ka bayan niche diya gaya hai.

Sukoon aur sukun :- Ayat e Sakina padhna aapke dimag aur dil mein shanti aur sukun la sakta hai. Yah chinta, tention aur bahoot sare zehni maslo ko kam karne mein madad kar sakta hai.

Buri nazar se Hifazat :- Ayat e Sakina ko padhne se parhne wale ko buri nazar se aur shar se bachne ki taqat milti hai.

Masle ka Hal :- Yah dua aapke zindagi mein kisi bhi tarike ki mushkilo ya pareshani ko dur karne mein madad kar sakta hai

Iman aur taqwa me ezafa :- Ayat e Sakina padhne se aapka iman Allah mein majbut hota hai aur aap takwa mein sudhar hote hain.Yah aapki roohaniyat se jodne mein aur Allah se gehri rishtey banane mein madad karta hai.

Gunahon ke liye mafi maangna :- Yah dua apne gunaho ke liye mafi maangne ka ek zariya hai. Iman ke saath padhne se Allah se mafi aur reham mil sakta hai.

Barkat aur sawab :- Ayat e Sakina bahut pak mana jata hai aur ise padhne se Allah ki madad aur barkat milti  hai.

Meaning Of Ayat e Sakina

Sakina ka matlab Aam tor par yeh ek sukoon ki ehsaas se wazeh hota hai jo Khuda ke saath gehre talluqat se ata hai.

Sakina Islami Sprituality mein bahut important hai kyonki yah Allah ke saath gehri talluq ko pane aur Zindagi mein sukun pane ke liye zaroori Hai. 

In reality  namaz, roza, aur sadqa jaise Islami beleif ke maqsad mein se ek hai Inner peace. 

Ayat e sakina PDF

conclusion (Ikhtitam)

“Ayat-e-Sakina” Allah Ta’ala ki rehmat se bharpoor ek quranic ayat hai, jis ka tilawat roohani sukoon  dilati hai. Is ayat ke zariye dil aur dimag ki ghabrahat aur bechaini door hoti hai aur insan ko Allah ke hifazat se  mehsoos karwati hai.

Iss ayat ka tilawat imaan aur yaqeen ke saath kiya jata hai, taa ke dil me Allah ki muhabbat aur taqwah ki baat aabad ho. Is ayat ke tilawat se insan ka dil Allah ki taraf mael ho jata hai aur uski zindagi me rohani barkat aur taraqqi milne lagti hai.

Is ayat ki tilawat aur uski samjh aur amal se insan apni zindagi me  sukoon, aur khushiyon ka bhar sakta hai.

“Ayat-e-Sakina” ke tilawat aur isay apni zindagi ka hissa banane se insan Allah rehmat aur hidayat ko pa sakte hai aur apni roohaniyat me chamak aur khushiyon ka ahsaas kar sakte hai.

FAQs

Ayat-e-Sakina is a verse from the Holy Quran that is recited to seek protection and peace. It is believed to have a soothing effect on the mind and body.

Ayat-e-Sakina is a verse that refers to the peace and tranquility that descends upon a place or person. It is recited to seek protection and to calm the mind and soul.

Ayat-e-Sakina can be recited at any time of the day or night. It is recommended to recite it after every prayer. The verse can be recited silently or aloud.

Reciting Ayat-e-Sakina is believed to have many benefits. It can bring peace and tranquility to the mind and soul, provide protection from harm and danger, and alleviate anxiety and stress.

There is no specific time to recite Ayat-e-Sakina. It can be recited at any time of the day or night. However, it is recommended to recite it after every prayer.

Yes, anyone can recite Ayat-e-Sakina. It is a verse from the Holy Quran that can be recited by Muslims and non-Muslims alike.

Surah Toba- Ayat No.40

Read Surah Fath-Ayat No.4

6 times

Sharing Is Caring:

Assalamu Alaikum ! I'm a professional islamic blogger since 2020. I Covered different topics like Lyrics, Dua, Surah & More. For More Info Visit Islamwala.

2 thoughts on “Ayat-e-Sakina: Roohani Sukoon aur Barkat Ki Ayat”

Leave a Comment